Pehli mulakat
Ek baar toh mohobat Meine bh kar ke dekhi h, dukh se bhari raahon pe chale ke dekha tha!
Baat mere college ke Dino ki h, m class m phunchi thi, Voh Abhi aaya nh tha, mujhe Kya malun tha kisi aise se payaar ho jayega, dono kano m baali daale phuncha tha, lage toh Acha raha tha bas mujhe aise ladko m Ruchi nh thi!
Aise hi classes chal rh Th, m apni class ki CR yani class representative thi, ek din Voh aaya mere pass shayad koi kam tha use, m hass kar boli, bataiye Kya hua?
Voh bh dabi c aawaz m Muskaaan lage Aur bola number mill sakta h, meine gusse m dekha use Aur muh phar ke jaane lagi, dekha mud kar Voh vahin khada mujhe dekh rh h, laga m bh kuch jayada hi Soch rh, Kya ho jata jo se deti no. Use, par nh m toh mein hu,
Dubaara gyi class ki taraf, Sir ka phone aaya tha aaj class jo nh honi thi, batanne gyi thi,
Aur copy pe use no. Bh de aayi, Acha ladka hi toh tha, phir sham ko msg bh Aa gaya m chonk gayi, aaj ho toh no. Diya, Abhi msg ka reply kar du, Hadh karte h ladke bh ab Kya karu??? Yahi sochti rh nh karungi toh sochega badi batmeez ladki h, kar dungi toh sochega easy ladki hu??
Yahi sochte hi meine use Bol diya m busy hu Subha baat karti hu class m.
Aur meine net off kar diya! Agli subha Voh mujhe ghurta raha jane meine uske paise chura liye ho. M lab m kam kar hi rh Th use nazrein churate ke Voh mere Karib aaya Aur bola tumhe mujhse baat karna Acha nh lagta toh m nh msg karunga, m tumhe tang nh karna chahta tha,
Tum achi lagi toh meine socha dost toh bana hi sakta hu, par tum toh shayad vaise nh chao!
Vaise tumne galat tarike se kam kiya aise result nh aayenge, yeh Bol kar Voh chala gaya?
Shakal se toh intelligent nh lagta, Aur m padhaku! Shayad Meine bh use judge kar liya tha, toh ab sare uske baare m yehi toh kehte h, meine bh maan liya tha!
Ke Voh dusri category ka ladka h chichora
Toh aisi thi meri use pehli mulakat!
-Ramona
